Wednesday, March 26, 2008

Shikayatein...

Ek daag hai mere haath pe
Yaad hai ek chot ki
Kisi ki hansi ki goonj
Aur unko hansane ke zid ki.

Jab thamayi thi dor kisi ke haath mein,
Tab khwaab bun rahe the hum.
Bunaai mein jab gaanth pad gayi,
Toh haunsle bhi ho hi gaye kum.

Jo shikayatein hain duniya se humein,
Humari hi hai aur sambhalenge bhi hum,
Aakhir humara idhar aur hai hi kya,
Sirf thodi yaadein aur aise hi kuch nazm?

Kyun batayein kisiko humein kya lagta hai?
Zaroori hai bayaan karna apne ehsaas lafzon mein?
Unhe batao dard humara hai aur sirf humara hai,
Kyun aur kis haque se unhe hissa de uss mein?

Koi humein idhar kheenche koi unhe udhar,
Thak chuke hain hum ab iss jaddojehad se.
Haar gayein hain hum iss rozmarra ke kashmakash se,
Tang aa chuke hain hum pe haque jamane wale iss zamane se.

Thaan liya hai aaj aaina dekh kar humne
Ab bas yeh aankhein nam na hongi,
Lekin zindagi shayad ab humein chain na de,
Kyunki yeh shikayatein bhi toh kam na hongi…

1 comment:

nivedita said...

They all seem to be a reflection of the phaes f your life....u write beautifully, but i still wish u never have to write anything like this, anything so beautifully sad anymore.