Haan, yeh shahar toh ab bhi wohi hai
Yahaan ke log, ghar sab wohi hai
Lekin jisse main kabhi chhod kar gaya tha
Yeh woh jagah toh nahi.
Hawayein toh ab bhi chalti hai yahaan
Magar mere baalon ko sehlati nahi,
Logon ki chehel-pehel aur hansi bhi hai
Par mere mann ko behlati nahi.
Ghar, baahar, ados, pados mere yahaan
Gair toh koi nahi par ajnabi sabhi hain,
Sadakein, deewarein sab jaane-pehchane se
Paraya toh kuch nahi par achanak door sabhi hain.
Fark nazare ka hai ya phir nazariye ka,
Behoshi mein iska ilm toh nahi raha,
Lagta hai aakhir yeh shahar hi badal gaya,
Ya phir shayad main woh nahi raha...
1 comment:
its nice..........almost echoing my sentiments....but i m perhaps more optimistic!
Post a Comment